nazar nazar se milao hijab kya mani niyaz-e-ishq se ye ijtinab kya mani chunenge ek mujhi ko wo har sitam ke liye khata kare nazar-e-intikhab kya mani gharaz hi kya thi tamasha-e-dahr se tum ko ab aae ho to ye rukh par naqab kya mani waqar-e-mehr-o-wafa ko to sar-nigun na karo har ek sawal ka ulta jawab kya mani meri nazar hi se ye ehtiyat hai warna naqab ke liye band-e-naqab kya mani had-e-shumar se bahar hain jab gunah mere hisab ke liye yun be-hisab kya mani sukun-e-dil to jahan mein kahin nahin ai 'josh' phir is sukun ke liye iztirab kya mani