rahat-e-jaan hui hai hum pe suKHan-arai

rahat-e-jaan hui hai hum pe sukhan-arai
jaise bajne lage komal suron mein shahnai

hum se lipti hai ya lipte hue hain hum is se
kis qadar dekh teri yaad se hai yakjai

khauf dekha tha bichhadne ka teri aankhon mein
aur nazar aai thi diwar pe ek parchhai

wo bhi hairan hain udhar hum bhi pareshan hain idhar
yaad aai hai udhar aur idhar bhi aai

wo jo thi raat mein tanha mujhe kar jati thi
ab banani hai mujhe ek nai parchhai

jaan mein paiwast udasi hai kai janmon ki
maut tak sath nibhaegi meri tanhai

hum bahut khush the bahut hanste the nadani mein
kar gai hai hamein viran koi danai

jism jaise bhi hon sayon mein koi aib nahin
ek hi rang ke hain ek si hai gahrai

log kahte hain kahen kis ko hai parwa 'mira'
hum ne sar mathe pe rakkhi hai teri ruswai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close