rahat-e-kaunain wasl-e-jism-o-jaan samjha tha main zindagi ko sud marne ko ziyan samjha tha mein ek jamal-e-ghair-fani ki wo deti thi khabar apni hasti ko faqat wahm-o-guman samjha tha main dagh-e-dil ko dekh kar sharma gae jannat ke phul haif us ko ek mata-e-raegan samjha tha mein us ke andaz-e-bayan par guftugu qurban hui apni khamoshi ko ya-rab be-zaban samjha tha main kuchh bagule raqs karte aae sahra mein nazar gard ko un ki ghubar-e-karwan samjha tha main phul tha khunin-jigar kawish se nok-e-khar ki us ko ek jam-e-sharab-e-arghawan samjha tha main umr bhar khata raha afsos daulat ka fareb jism ke aaram ko aaram-e-jaan samjha tha main shiddat-e-ranj-o-alam thi zamin-e-lutf-e-hayat wae nadani ki us ko jaan-sitan samjha tha main