taib nahin hun be-KHud-o-sarshaar bhi nahin

taib nahin hun be-khud-o-sarshaar bhi nahin
jo is tarah piye wo gunahgar bhi nahin

zindan-e-rang-o-bu mein guzari hai umr yun
aazad bhi nahin hun giraftar bhi nahin

itni si baat hai wo taghaful-shiar hai
gar mehrban nahin to sitamgar bhi nahin

kya puchhte ho aashiq-e-be-dil ki aarzu
jab dil nahin to hasrat-e-didar bhi nahin

bole ki tum ko qatl kiya main ne kis tarah
dekho zara ki hath mein talwar bhi nahin

viran kiya hai yas ne yun bagh-e-arzu
phulon ka zikr kya hai wahan khar bhi nahin

gar doston ke lutf ka qail nahin hun main
lab par mere shikayat-e-aghyar bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close