rahe dil ki dil mein zaban tak na pahunche mera gham hudud-e-bayan tak na pahunche ye hasti na ho be-khudi rafta rafta kahin khwab khwab-e-giran tak na pahunche tera martaba ai zamin allah allah teri gard ko aasman tak na pahunche diya to meri aarzu ka jale aur ujala kisi ke makan tak na pahunche yahi ab hai behtar ki chup sadh lije koi baat phir dastan tak na pahunche na chheden wo tar-e-rag-e-jaan 'saadat' kahin naghma-e-dil fughan tak na pahunche