rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar wahi nikle sarir-ara qayamat mein khuda ho kar haqiqat-dar-haqiqat but-kade mein hai na kabe mein nigah-e-shauq dhoke de rahi hai rahnuma ho kar maal-e-kar se gulshan ki har patti larazti hai ki aakhir rang-o-bu ud jaenge ek din hawa ho kar abhi kal tak jawani ke khumistan the nigahon mein ye duniya do hi din mein rah gai hai kya se kya ho kar mere sajdon ki ya rab tishna-kaami kyun nahin jati ye kya be-e'tinai apne bande se khuda ho kar sirisht-e-dil mein kis ne kut kar bhar di hai betabi azal mein kaun ya rab mujh se baitha tha khafa ho kar ye pichhli raat ye khamoshiyan ye dubte tare nigah-e-shauq bahki phir rahi hai iltija ho kar bala se kuchh ho hum 'ehsan' apni khu na chhodenge hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho kar