ye waiz kaisi bahki bahki baaten hum se karte hain kahin chadh kar sharab-e-ishq ke nashshe utarte hain khuda samjhe ye kya sayyaad o gulchin zulm karte hain gulon ko todte hain bulbulon ke par katarte hain daya dam naza mein go aap ne par ruh chal nikli kisi ke rokne se jaane wale kab thaharte hain zara rahne do apne dar pe hum khana-ba-doshon ko musafir jis jagah aaram pate hain thaharte hain na aa jaya karo aghyar ki ulfat jatane mein wo tum par kyun bhala marne lage faqon se marte hain har ek mausam mein kisht-e-arzu sarsabz rahti hai taraddud ghair ko hoga yahan to chain karte hain ye joda kholna bhi hech se khali nahin un ka ulajh jata hai dil jab baal shanon par bikharte hain samajh lena tumhaara ai raqibo kuchh nahin mushkil khuda jaane ye kis ka khauf hai hum kis se darte hain takalluf ke ye mani hain samajh lo be-kahe dil ki maza kya jab hamin ne ye kaha tum se ki marte hain