rahe khayal tanik hum bhi ru-siyahon ka lage ho khun bahut karne be-gunahon ka nahin sitare ye surakh pad gae hain tamam falak harif hua tha hamari aahon ka gali mein us ki phate kapdon par mere mat ja libas-e-faqr hai wan fakhr baadshahon ka tamam zulf ke kuche hain mar-e-pech us ki tujhi ko aawe dila chalna aisi rahon ka usi jo khubi se lae tujhe qayamat mein to harf-e-kun ne kiya gosh dad-khwahon ka tamam-umr rahen khak zer-e-pa us ki jo zor kuchh chale hum ijz dast-gahon ka kahan se tah karen paida ye naziman-e-haal ki poch-bafi hi hai kaam in julahon ka hisab kahe ka roz-e-shumar mein mujh se shumar hi nahin hai kuchh mere gunahon ka teri jo aankhen hain talwar ke tale bhi idhar fareb-khurda hai tu 'mir' kin nigahon ka