raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish ka ye dhab hai kya pahle suluk aise hi tere the ab hai kya hum dil-zada na rakhte the tum se ye chashm-dasht karte ho qahr lutf ki jaga ghazab hai kya izzat bhi baad zillat bisyar chhed hai majlis mein jab khafif kiya phir adab hai kya aae hum aap mein to na pahchane phir gae us rah-e-sab ishq mein yaro tab hai kya hairan hain us dahan ke azizan-e-khurda-bin ye bhi maqam hae tammul talab hai kya aankhen jo howen teri to tu ain kar rakhe aalam tamam gar wo nahin to ye sab hai kya us aaftab bin nahin kuchh sujhta hamein gar ye hi apne din hain to tarik shab hai kya tum ne hamesha jaur-o-sitam be-sabab kiye apna hi zarf tha jo na puchha sabab hai kya kyunkar tumhaari baat kare koi eatibar zahir mein kya kaho ho sukhan zer-e-lab hai kya us mah baghair 'mir' ka marna ajab hua har-chand marg-e-ashiq miskin ajab hai kya