rahega aql ke sine pe ta-abad ye dagh ki zindagi ne bhi paya na zindagi ka suragh ajib tarah guzara hai daur-e-tira-shabi jala jala ke bujhae hain main ne kitne charagh hai jine walon ki khatir ye kaisi majburi na zindagi ka faragh aur na zindagi se faragh ye kuchh hamare hi qalb-e-tapida ko hai khabar farogh-e-nur se kya kya na jal bujhe hain charagh hai raushni ke liye raushni payam-e-ajal sahar qarib hai aur jhilmila rahe hain charagh mujhe bata ki hai us mai mein kaif-e-mai kitna main jaanta hun ki khali nahin kisi ka ayagh kisi tarah sahi badle to rasm-e-parina ugae jao bayaban ujadte chalo bagh dikha raha hun main duniya ko dil ka aaina ba-in yaqin ki nahin mahtab bhi be-dagh ye raat mahfil-e-adam pe hai garan 'hurmat' bhadak uthe hain khud apni hi raushni se charagh