sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega hasraton ke khushk patton ko uda le jaega dudhiya aakash mein kis ko sada deta hai tu tere mazi ka parinda ab na wapas aaega chhoti chhoti khwahishon ka qatl hote dekh kar umr ka ehsas rukh par gard ban ke chhaega waqt us se chhin lega khud-pasandi ka ghurur han yaqinan wo khuda ban kar bahut pachhtaega wo hai sar-ta-pa mujassam ek francisi sharab nashsha ban kar jism us ka zehn par bhi chhaega khwahishon ke jangalon mein lazzaton ke ped hain jin ke sae mein musafir der tak sustaega aap apni aag mein hum hath tapenge 'adib' jab december sath apne barf-bari laega