rahen bana ke aage nikal jaana chahiye ab to jadid sanche mein dhal jaana chahiye nafrat ka zahr zehnon mein tum bhar chuke bahut logon ko tum se ab to sanbhal jaana chahiye duniya ko bantna hain ujale to phir tumhein manind-e-shama jalna pighal jaana chahiye badhna hi chahte ho badho chhanw ki tarah lekin na dhup sa tumhein dhal jaana chahiye basti ke sare logon ne patthar utha liye ab kanch ke gharon se nikal jaana chahiye thahre hue hain aansu sarae mein chashm ki aahon ke sath un ko nikal jaana chahiye tira-shabi ko 'josh' muqaddar na man lo hai waqt ab bhi tum ko sanbhal jaana chahiye