sham ko subh ki aur subh ko hai sham ki baat kaise nadan hain wo karte hi nahin kaam ki baat jab kiya karte hain hum saqi-e-gulfam ki baat lab pe aa jati hai aksar dil-e-nakaam ki baat dhalte suraj ko dikhaya to kabhi gul ki hayat hum se is tarah se ki husn ke anjam ki baat nafrat-o-bughz-o-tassub ke alawa tum se aaj tak ho na saki koi kabhi kaam ki baat jalte shahron ka dhuan aankhon mein ghuma aksar yaad aai hai jo guzre hue ayyam ki baat jo bahaaron ki latafat ko samajhte hi na hon un se sayyaad kare kyon qafas-o-dam ki baat hai zarurat ki mohabbat ka sabaq den sab ko aao hum mil ke karen azmat-e-islam ki baat kaun sa jurm hai farmaen zamane wale tishna-lab karte hain saqi se agar jam ki baat ranj rahat se badalte to maza aa jata mahfil-e-aish mein hoti gham-o-alam ki baat khub dozakh se daraata hai gunahgaron ko lab pe waiz ke nahin hai karam-e-am ki baat be-dhadak 'josh' wo badhte rahe manzil ki taraf qafile walon ne sochi nahin anjam ki baat