rahen KHilaf mere zahr bhi ugalne lagen

rahen khilaf mere zahr bhi ugalne lagen
magar na itna ki milne pe hath malne lagen

to kya badal lun main apna mizaj un ki tarah
jo ban ke sanp meri aastin mein palne lagen

samajhna ishq ki mearaj mil gai hai mujhe
mere mazar pe jab bhi charagh jalne lagen

bahut sanbhaal ke rakhta hun khote sikke main
ajab nahin ki kisi roz ye bhi chalne lagen

hai aarzu ki wo dalen nigah-e-shokh idhar
jabin-e-shauq mein sajde kai machalne lagen

tumhaari yaadon ki khushbu fazaon mein bikhre
hawaen mere iradon ki samt chalne lagen

junun-e-ishq hamein hosh itna rahne de
ki ladkhadaen agar hum to khud sanbhalne lagen

charagh is liye shab ko nahin jalata main
kahin na sae mere hi mujhe nigalne lagen

ab aise mom badan bhi nahin 'fahim' ki hum
zara si garmi-e-alam se pighalne lagen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close