sulagti aankhon ne ashkon se dosti kar li

sulagti aankhon ne ashkon se dosti kar li
hamare khwabon ne kal raat khud-kushi kar li

har ek samt tha tufan bhanwar mein thi kashti
aur is pe hum ne kinaron se dushmani kar li

andheri raat thi ghar mein koi charagh na tha
jala ke apna hi dil hum ne raushni kar li

hamare lab abhi tishna hain guftugu ke liye
agarche hum ne nigahon se baat bhi kar li

yaqin khud ko nahin hai magar haqiqat hai
tere baghair basar hum ne zindagi kar li

tumhaare dam se thin gulshan mein raunaqen sari
tumhaare ba'd bahaaron ne khud-kushi kar li

wo dard ban ke hamesha hamare dil mein raha
jab had se dard badha hum ne shaeri kar li

thikana dhund rahe hain parinde phir koi
shajar ne tund hawaon se dosti kar li

'fahim' us ki nigahen hain jhil ki manind
hum un mein kud gae aur shanawari kar li


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close