rahguzar ho ya musafir nind jis ko aae hai gard ki maili si chadar odh ke so jae hai qurbaten hi qurbaten hain duriyan hi duriyan aarzu jadu ke sahra mein mujhe daudaye hai waqt ke hathon zamir-e-shahr bhi mara gaya rafta rafta mauj-e-khun sar se guzarti jae hai meri aashufta-sari wajh-e-shanasai hui mujh se milne roz koi hadisa aa jae hai yun to ek harf-e-tasalli bhi badi shai hai magar aisa lagta hai wafa be-abru ho jae hai zindagi ki talkhiyan deti hain khwabon ko janam tishnagi sahra mein dariya ka saman dikhlae hai kis tarah dast-e-hunar mein bolne lagte hain rang madrase walon ko 'taban' kaun samjha pae hai