koi dekhe adhura-pan hamara ki ghar bhi hai to be-angan hamara inhen hargiz na roko kholne do inhi bachchon mein hai bachpan hamara abhi kuchh aur sanson ki hawa do sulagta rah gaya hai tan hamara tumhein bhi le chale pardes sajan zara lagne laga tha man hamara tum aa jao hare ho jaenge hum hara-pan le gaya sawan hamara har ek jaanib se chhinten aa rahe hain magar be-dagh hai daman hamara