rahi dil ki dil mein zaban tak na pahunchi mohabbat ki duniya bayan tak na pahunchi basera raha us ka sehn-e-chaman mein magar ye bahaar aashiyan tak na pahunchi unhen khwab mein bhi na dhyan aaya mera ye ruh-e-haqiqat guman tak na pahunchi shab-e-gham mera dil tha suli pe lekin tamanna sarishk-e-rawan tak na pahunchi bahaaron ka to zikr hi kya karun main gulistan-e-dil mein khizan tak na pahunchi tasawwur se aage takhayyul se aage mere dil ki wahshat kahan tak na pahunchi rahi mahw tauf-e-chaman 'barq' aksar magar wo mere aashiyan tak na pahunchi