un ko dekha to tabiat mein rawani aai dil ke ujde hue gulshan pe jawani aai pyas kya us ki bujhaenge koi aariz-o-lab lab-e-dariya na jise pyas bujhani aai garmi-e-ranj-o-alam hi mein basar ki hum ne zindagi mein to koi rut na suhani aai us ka unwan tera nam hi rakkha hum ne bhuli-bisri jo koi yaad kahani aai hum mohabbat ka bhi minar bana sakte the hum ko nafrat ki na diwar girani aai dekh kar us gul-e-shadab ko ek mahfil mein baad muddat ke phir ek yaad purani aai aarzu dil ko thi ai 'soz' ghazal-khwani ki ras aai to hamein marsiya-khwani aai