rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kya kya adawaton mein hui hai mufahamat kya kya mere aziz watan ki faza ne bhar di hai meri sarisht ke andar munafiqat kya kya kabhi usul ki ghairat kabhi ziyan ka sawal dimagh-o-dil mein rahi hai mushawrat kya kya sada-e-dil ko tah-e-dil mein qaid kar ke rakha raha hai tauq-e-gulu shauq-e-afiyat kya kya mahak thami jo lahu ki to chaunk kar hum ne hawa se puchhi hai zakhmon ki khairiyat kya kya bahut aziz hain aankhon ki putliyan lekin mile hain dukh bhi mujhe un ki marifat kya kya bahut dinon mein kal aaina samne pa kar hui hai umr-e-guzishta ki taziyat kya kya ata hua ba-sar-o-chehra sim-o-zar ka ghubar mili hai lasha-e-afkar ki diyat kya kya nihan hai tarkash-e-imkan mein nawak-e-taqdir mudam sar pe sitare hain an-ginat kya kya