saman ghurub ka dil mein raha ubharte hue

saman ghurub ka dil mein raha ubharte hue
khayal khak mein milne ka tha sanwarte hue

zamin udas hai aur aasman pe khanda-kunan
guzar rahe hain sitare udas karte hue

bikhar gaya to mujhe koi gham nahin is ka
ki raaz mujh pe kai wa hue bikharte hue

fasurda itni hai is bar rahguzar-e-khayal
khiram-e-yar jhijakta hai gul katarte hue

mujhe bhi apna dil-e-rafta yaad aata hai
kabhi kabhi kisi bazar se guzarte hue

zamana lab pe ye angusht rakh ke kahta hai
ki dard-e-dil na kaho aur kaho to darte hue

labon se nim tabassum bhi uth gaya 'khurshid'
udasiyon ka mudawa talash karte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close