rahi hai yun hi nadamat mujhe muqaddar se guzar rahi hai saba jis tarah mere ghar se chadha hai shauq mujhe zabt aazmane ka likhun fasana koi aaine pe patthar se musafiron sa kabhi jab main shahr se guzra to raston mein kai raste the banjar se tumhaare gham ne duboya hai par pukaro to main laut aaun usi pal kisi samundar se maze ki thand gharibon ki aastin mein hai tum aa ke dekh lo foot-path par bhi bistar se