rahi jo begana-e-mohabbat hayat wo surKH-ru nahin hai

rahi jo begana-e-mohabbat hayat wo surkh-ru nahin hai
wo phul kaisa ki jis mein shamil latafat-e-rang-o-bu nahin hai

ye ghair mumkin hai harf aae nizam-e-baada-kashi pe saqi
khula rahega sharab-khana bala se jam-o-subu nahin hai

hai meri fitrat niyaz-mandi kamal tera hai be-niyazi
mujhe teri justuju hai lekin tujhe meri justuju nahin hai

ye baat alag hai ki hum nahin hain sharik-e-jashn-e-bahaar-e-gulshan
wagarna kab is chaman mein shamil hamara rangin lahu nahin hai

tere gham-e-jaan-faza ke sadqe teri jafa-e-hasin ke qurban
na jaane kyon kuchh dinon se mujh ko khushi ki ab aarzu nahin hai

meri nigahon se dur rah kar wo mere dil ko jala rahe hain
main kis ko ilzam dun bataun koi mere ru-ba-ru nahin hai

ye baat wazeh jahan mein 'nasir' ba-qaul-e-mansur ho gai hai
ada na hogi namaz-e-ulfat agar lahu se wuzu nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close