tajdid-e-rah-o-rasm-e-mulaqat bhi hoti

tajdid-e-rah-o-rasm-e-mulaqat bhi hoti
wo samne aate to koi baat bhi hoti

be-tir-o-kaman jis ne zamane ko kiya said
ai kash hadaf us ka meri zat bhi hoti

hum phir bhi nikalte na sarabon ke bhanwar se
is dasht-e-tapida mein jo barsat bhi hoti

mamnun hun main yun bhi teri marhamaton ka
daman ke hi shayan koi saughat bhi hoti

aaina teri subh-e-darakhshan ko dikhata
khurshid-ba-kaf yunhi meri raat bhi hoti

is baat karam tak to rasai thi yaqini
gar sath koi shama-e-munajat bhi hoti

wo chand sa paikar kabhi aangan mein utarta
raushan ye meri wadi-e-zulmat bhi hoti

main tere jawabaat ka kuchh jaeza leta
hathon mein agar fard-e-sawalat bhi hoti

hum karte shumar un ka farishta-nafason mein
mansub jo kuchh un se karamat bhi hoti

phir qiston mein 'nasir' hamein marna nahin padta
hasil jo yahan thodi muraat bhi hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close