rahi na-gufta mere dil mein dastan meri na us dayar mein samjha koi zaban meri ba-rang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanha khabar nahin hai tujhe aah karwan meri tere na aaj ke aane mein subh ke mujh pas hazar jae gai tab-e-bad-guman meri wo naqsh-e-pai hun main mit gaya ho jo rah mein na kuchh khabar hai na sudh haigi rah-rawan meri shab us ke kuche mein jata hun is tawaqqoa par ki ek dost hai wan khwab pasban meri usi se dur raha asal muddaa jo tha gai ye umr-e-aziz aah raegan meri tere firaq mein jaise khayal muflis ka gai hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri nahin hai tab-o-tawan ki judai ka andoh ki na-tawani bahut hai mizaj-dan meri raha main dar-e-pas-e-diwar-e-bagh muddat lek gai gulon ke na kanon talak fughan meri hua hun girya-e-khunin ka jab se daman-gir na aastin hui pak dostan meri diya dikhai mujhe to isi ka jalwa 'mir' padi jahan mein ja kar nazar jahan meri