rahta hai haddiyon se meri jo huma laga kuchh dard-e-ashiqi ka use bhi maza laga ghafil na soz-e-ishq se rah phir kabab hai gar laeha us aag ka tak dil ko ja laga dekha hamein jahan wo tahan aag ho gaya bhadka rakha hai logon ne is ko laga laga mohlat tanik bhi ho to sukhan kuchh asar kare main uth gaya ki ghair tere kanon aa laga ab aab-e-chashm hi hai hamara muhit-e-khalq dariya ko hum ne kab ka kinare rakha laga har-chand us ki tegh-e-sitam thi buland lek wo taur bad hamein to qayamat bhala laga majlis mein us ki bar na mujh ko mili kabhu darwaze hi se garche bahut main raha laga bosa labon ka mangte hi munh bigad gaya kya itni meri baat ka tum ko bura laga aalam ki sair 'mir' ki sohbat mein ho gai talea se mere hath ye be-dast-o-pa laga