rahin-e-dast-e-azar ho gaya hun main aaina tha patthar ho gaya hun mera to kaam qatre se bhi chalta teri khatir samundar ho gaya hun jo baatin hai wahi zahir hai mera kuchh aisa saf manzar ho gaya hun kai jahton se hai yalghaar mujh par tan-e-tanha main lashkar ho gaya hun chale hain sath hi ghar ke masail kabhi jab ghar se bahar ho gaya hun raha hai naz jin ko apne qad par khada un ke barabar ho gaya hun mujhe taslim hai ye 'shan' sahib sukhan-sazi ka daftar ho gaya hun