rahin-e-minnat-o-ehsan-e-yar main bhi hun fareb-khurda-e-fasl-e-bahaar main bhi hun mujhe bhi lete chalo apne sath diwano nisar-e-azmat-e-zanjir-o-dar main bhi hun suna hai rang-e-bahaaran nikharne wala hai ye dekhne ke liye be-qarar main bhi hun idhar bhi dekh le ai malika-e-bahaar-e-ghazal ki teri chah mein ek dil-figar main bhi hun tere khayal ke dar par jabin-e-dil rakh kar zamana bit gaya ashk-bar main bhi hun rukh-e-hayat mein nashtar utarne wale ye soch le ki tera raazdar main bhi hun jahan pe sirf mohabbat ka raj hai 'akhtar' usi dayar ka ek khaksar main bhi hun