rahmat teri ai naqa-kash-e-mahmil-e-haji chahe to kare rahib-e-but-khana ko naji kis din na utha dil se mere shor-e-parastish kis raat yahan kabe mein naqus na baji main aap kamar-basta hun ab qatl pe apne bin yar hai jine se mera bas ki khafa ji ek sine mein dil rakhte hain hum so bhi wo kya dil jo roz rahe lashkar-e-sultan ka kharaji tum shab mujhe dete hue gali to gae ho main bhi kisi din tum se samajh lunga bhala ji shisha mai-e-gulgun ka hai ya rang-e-shafaq se rang apne dikhata hai mujhe charkh-e-zujai ai 'mushafi' main afsah-e-shirin-sukhanan hun kab mujh se taraf ho sake hai har koi paji