wo sanam jo mehr-ezar hai use hum se milne mein aar hai wale apna jo dil-e-zar hai wo hazar jaan se nisar hai mile jab se kuche mein us ke ja ye surur-e-aish hai barmala lab-e-dil hai aur wo naqsh-e-pa bar-e-jaan hai aur dar-e-yar hai wo nigah jo us ki hai fitna-gar use mashq-e-said hai pesh-tar hai jo dil ka tair-e-tez-par usi baz ka ye shikar hai wo mizha laga ke jo ek sinan gai phir to kar na dil ab fughan kai aise howenge imtihan ye abhi to pahla hi war hai jo bahaar gul pe rahi hai tul hamein kya jo husn ki pi hai mul jinhen chahiye hai wo rashk-e-gul unhen gul se kya sarokar hai jo buton ko dewen dil aur din rakhen us ko ye ba-alam qarin bhala kahiye kya use ham-nashin ye ajab kuchh un ka shiar hai kai din hue hain 'nazir' ab ki khafa hai hum se wo ghuncha-lab use kya wale hamein roz-o-shab na to sabr hai na qarar hai