rahne de taklif-e-tawajjoh dil ko hai aaram bahut hijr mein teri yaad bahut hai gham mein tera nam bahut baat kahan un aankhon jaisi phul bahut hain jam bahut auron ko sarshaar banaen khud hain tishna-kaam bahut kuchh to batao ai farzano diwanon par kya guzri shahr-e-tamanna ki galiyon mein barpa hai kohram bahut shughl-e-shikast-e-jam-o-tauba pahron jari rahta hai hum aise thukrae huon ko mai-khane mein kaam bahut dil-shikni o dildari ki ramzon par hi kya mauquf un ki ek ek jumbish-e-lab mein pinhan hain paigham bahut aansu jaise baada-e-rangin dhadkan jaise raqs-e-pari hae ye tere gham ki halawat rahta hun khush-kaam bahut us ke taqaddus ke afsane sab ki zaban par jari hain us ki gali ke rahne wale phir bhi hain badnam bahut zakhm ba-jaan hai khak basar hai chaak ba-daman hai 'unwan' bazm-e-jahan mein raqs-e-wafa par milte hain inam bahut