sari duniya mein dana hai apne ghar mein kuchh bhi nahin aisa lagta hai ab us ke kisa-e-zar mein kuchh bhi nahin zauq-e-nazar phir aamada hai jalwon ki paimaish par khali aankhen ye kahti hain chand-nagar mein kuchh bhi nahin khud-dari bhi kachcha shisha fankari bhi kachchi nind sab kuchh kho kar ye paya hai shahr-e-hunar mein kuchh bhi nahin chaaron khont phira hun lekin apne aap ko pa na saka ghar aa kar ye raaz khula hai samt-o-safar mein kuchh bhi nahin purkhon se unwan suna hai bhuk aur nind mein rishta hai aaj ki raat kathin guzregi aaj to ghar mein kuchh bhi nahin