rahne diya na chain se lail-o-nahaar ne mara gham-e-hayat-o-gham-e-rozgar ne ek kaif pa liya hai dil-e-be-qarar ne phir gudguda diya hai nasim-e-bahaar ne jalwon ki tab la na saka bazm-e-naz mein khoya khud eatibar dil-e-be-qarar ne chhede na koi meri mohabbat ki dastan khaya hai taza zakhm dil-e-dagh-dar ne duniya ka gham kabhi gham-e-uqba kabhi raha paya na chain mere dil-e-be-qarar ne daman se un ke lipti kabhi rukh se ja lagi kya kya maze na lute hain musht-e-ghubar ne utthi kabhi naqab to khil utthi chandni jalwe bikher dale hain rukhsar-e-yar ne milta jo umr bhar na mujhe wasl-e-yar se wo kaif de diya hai tere intizar ne duniya-e-ishq mein wahi sabit-qadam raha bakhsha junun-e-ishq jise tere pyar ne aata nahin hai aaj bhi wo samne 'shafia' bakhsha jahan ko to usi parda-dar ne