mayassar agar dar tumhaara na hota to sajda ada phir hamara na hota mera qalb-e-muztar na taskin pata jo jalwa tera aashkara na hota chaman mein ye ranginiyan bhi na hotin agar khun shamil hamara na hota yaqinan wafa ki meri qadr karte jafa-ju agar dil tumhaara na hota bigad jata hamdam mizaj-e-zamana jo zulfon ko tum ne sanwara na hota bachate jo khud ko nigah-e-butan se mohabbat mein dil para para na hota nihan aatish-e-gham jo hoti na dil mein to aansu nikal kar sharara na hota bharam tut jata wafaon ka meri agar zabt ka dil ko yara na hota nigah-e-karam kaam aati na mere to mahshar mein koi hamara na hota kabhi bhi na mansur kahte anal-haq jo shamil tumhaara ishaara na hota ulajhna 'shafia' dam-e-zulf-e-butan mein khuda ko hamare gawara na hota