rahne ko hum qafas mein rahe aashiyan se dur lekin chaman mein thi ye jagah aasman se dur is qurb se jo sajdon mein tujh se hua mujhe sajde bhi hain muqablatan aastan se dur jitna main aashiyan mein qafas se qarib tha utna hi ab qafas mein hun main aashiyan se dur hasil na jis ki ruh ko ho qurb-e-mai-kada wo na-murad rahmat-e-pir-e-mughan se dur tujh se bhi dur tak koi aisi jagah nahin mahfil mein apni to nazar aae jahan se dur is na-murad se jo tere aastan pe hai achchha hai bad-nasib jo hai aastan se dur ab tak koi bata na saka rah-e-ishq mein manzil kahan se pas hai 'bismil' kahan se dur