us se kya chhup sake banai baat

us se kya chhup sake banai baat
tad jae jo dil ki aai baat

kahiye guzri hai ek san kis ki
kabhi bigdi kabhi ban aai baat

rahe dil mein to hai wo baat apni
munh se nikli hui parai baat

main samajhta hun ye nai chaalen
kabhi chhupti nahin sikhai baat

kah diya apne dil ko khud be-rahm
chhin li mere munh ki aai baat

rakh liya aashiqon ne nam-e-wafa
gai jaan par na jaane pai baat

rang bigda hai un ki sohbat ka
ab nahin hai wo ibtidai baat

mujh se be-wajh hote ho bad-zan
kar ke bawar suni-sunai baat

kya ho un ka mizaj-dan koi
ruthna khel hai ladai baat

ghair ka zikr gar na tha sahab
mere aate hi kyun udai baat

dil mein rakhta hai khub sun ke 'habib'
chahe apni ho ya parai baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close