rahon ke unch-nich zara dekh-bhaal ke han rahraw-e-murad qadam rakh sambhaal ke fitnon ko dekh apne qadam rok baith ja raaten ye aafaton ki hain ye din wabaal ke main sargiran tha hijr ki raaton ke qarz se mayus ho ke laut gae din visal ke kuchh ye na tha ki main ne na samjhi bisat-e-dahr main khud hi khel haar gaya dekh-bhaal ke saman-e-dil ko be-sar-o-samaniyan milin kuchh aur bhi jawab the mere sawal ke lamhon ki lai pe guzri hain raaten nashat ki kis dhun mein din katenge ye ranj o malal ke takhliq hai meri teri takhliq se alag main bhi banata rahta hun paikar khayal ke pyasi zamin-e-dil hai pada qaht-e-fasl-e-shauq han ai hawa kidhar gae din barshgal ke 'baqar' ye dant bich zaban band kyun hui qael to aap bhi the bahut qil-o-qal ke