takalluf chhod kar mere barabar baith jaega tasawwur mein abhi wo pas aa kar baith jaega dar-o-diwar par itna pada hai sare din pani agar kal dhup bhi niklegi to ghar baith jaega adega khud to laega khabar sat aasmanon ki udaya to parinda chhat ke upar baith jaega na manzil ko pata hoga na raston ko khabar hogi musafir ek din aaram se ghar baith jaega khayal achchha hua to sher ban kar aaega bahar bahut achchha hua to dil ke andar baith jaega