rahta hai kab ek rawish par aasman khata hai chakkar pe chakkar aasman kar diya barbaad ek dam mein mujhe kya kiya tu ne sitamgar aasman aah karte hain hazaron dil-figar par na tuta tera khanjar aasman raund dalun panw ke niche tujhe dil mein aata hai jafa-gar aasman raat ko barsata hai patthar agar din ko barsata hai akhgar aasman