ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho

ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi yarab to dil kya ho jigar kya ho

baghal-gir aarzu se hain muraden aarzu mujh se
yahan is waqt to ek id hai tum jalwa-gar kya ho

muqaddar mein ye likkha hai kategi umr mar-mar kar
abhi se mar gae hum dekhiye ab umr bhar kya ho

murawwat se ho begana wafa se dur ho koson
ye sach hai naznin ho khub-surat ho magar kya ho

laga kar zakhm mein tanke qaza teri na aa jae
jo wo saffak sun pae bata ai chaara-gar kya ho

qayamat ke bakhede pad gae aate hi duniya mein
ye mana hum ne mar jaana to mumkin hai magar kya ho

kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close