rahte hain hosh mein magar phir bhi kuchh to hoga tera asar phir bhi mujh ko pagal nahin kiya lekin tum ne chhodi hai kya kasar phir bhi yun to ab ghaw bhar gae be-shak aate hain sab nishan nazar phir bhi phenke patthar gulon ko luta hai kitna khamosh hai shajar phir bhi hum ko ehsas hai sarabon ka karte hain ret ka safar phir bhi ghar mein hon log kab zaruri hai logon mein ho zarur ghar phir bhi chahe hum koshishen karen lakhon jaenge ek din to mar phir bhi