aasmanon sa khula-pan bhi mujhe chahiye hai panw thak jaen to maskan bhi mujhe chahiye hai dosto tum se umiden to bahut kuchh thin par ab ek maqul sa dushman bhi mujhe chahiye hai qabl-e-manzil kahin lut jaane ki hasrat hai bahut rahbar hi nahin rahzan bhi mujhe chahiye hai masale kam nahin waise hi sulajhne ke liye aur teri zulf ki uljhan bhi mujhe chahiye hai waqt ke sath badalti nahin tahrir-e-nihad titliyan dekhun to bachpan bhi mujhe chahiye hai ab to is shart pe chahun main tere husn ki aanch aag lag jae to sawan bhi mujhe chahiye hai