rahte hain is tarah se gham-o-yas aas-pas main un se dur dur to ye mere pas pas ye bhi nashe mein kyun na mere sath chur ho saqi khuda ke waste rakh de gilas pas phir chaak-damani ki hamein qadr kyun na ho jab aur dusra nahin koi libas pas chakra raha hai kucha-e-gesu mein ja ke dil mandla rahi hai maut musafir ke aas-pas 'natiq' khuda ki shan ki apna nahin koi hone ko yun to sari khudai hai aas-pas