rahunga ishq mein mahrum-e-tasir-e-fughan kab tak fareb-e-zindagi khati rahe umr-e-rawan kab tak khuda ke waste o fitna-saman ye to samjha de hawas ke nam par pabandi-e-sud-o-ziyan kab tak na duniya se ta'alluq hai na uqba se mujhe matlab rahe meri tabiat be-niyaz-e-do-jahan kab tak tasawwur bhi tera hai mawara-e-fikr-e-insani teri hasti rahegi mere haq mein chistan kab tak ye faizan-e-mohabbat hai ki main ab tak salamat hun magar tufan mein ye kashti-e-umr-e-rawan kab tak wahi gardish wahi jalwe wahi manzar wahi aalam rahenge ek haalat mein zamin-o-asman kab tak 'azim' un ke taghaful ne kahin ka bhi nahin rakkha ba-faiz-e-hur yun zinda rahe ye khasta-jaan kab tak