un ko gham ki khabar na ho jae muddaa be-asar na ho jae han sanbhal kar naqab rukh se ulat dekh zakhmi nazar na ho jae aariz-e-rukh ki shoala-samani rashk-e-shams-o-qamar na ho jae phir wo nikle hain aaj saj-dhaj kar nazm-e-alam digar na ho jae ro pade sun ke dastan-e-hayat ishq phir mo'atabar na ho jae wo tahalte hain sehn-e-gulshan mein raqs-e-barq-o-sharar na ho jae tu jidhar aaj ja raha hai dost wo meri rahguzar na ho jae azm-e-rah-e-mazar-e-bulbul par pursish-e-baal-o-par na ho jae khud-satai kahin 'azim' apni be-niyaz-e-asar na ho jae