rahzan aadmi rahnuma aadmi

rahzan aadmi rahnuma aadmi
bar-ha ban chuka hai khuda aadmi

hae takhliq ki kar-pardaziyan
khak si chiz ko kah diya aadmi

khul gae jannaton ke wahan zaiche
do qadam jhum kar jab chala aadmi

zindagi khanqah-e-shahud-o-baqa
aur lauh-e-mazar-e-fana aadmi

subh-dam chand ki rukhsati ka saman
jis tarah bahr mein dubta aadmi

kuchh farishton ki taqdis ke waste
sah gaya aadmi ki jafa aadmi

gunjti hi rahegi falak-dar-falak
hai mashiyyat ki aisi sada aadmi

aas ki muraten pujte pujte
ek taswir si ban gaya aadmi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close