waqt se pahle darakhton pe samar aane lage raat aai bhi nahin khwab-e-sahar aane lage main ne pahla hi qadam rakkha hai dariya mein abhi khair-maqdam ke liye kitne bhanwar aane lage kya khata ho gai sarzad main isi soch mein hun sang ke badle meri samt guhar aane lage is liye zill-e-ilahi se khafa hain raaten un ke aiwan mein kyun khak-basar aane lage aap kuchh aur hain aashiq ise kahte hain miyan jis ko har chiz mein mahbub nazar aane lage khair mangen kisi dushman ke liye ab 'alam' ain mumkin hai duaon mein asar aane lage