'rais' ashkon se daman ko bhigo lete to achchha tha huzur-e-dost kuchh gustakh ho lete to achchha tha judai mein ye shart-e-zabt-e-gham to mar dalegi hum un ke samne kuchh der ro lete to achchha tha bahaaron se nahin jin ko tawaqqoa lala-o-gul ki wo apne waste kante hi bo lete to achchha tha abhi to nisf shab hai intizar-e-subh-e-nau kaisa dil-e-bedar hum kuchh der so lete to achchha tha qalam-rau dad-e-khun-o-ashk likhne se jhijakta hai qalam ko ashk-o-khun hi mein dubo lete to achchha tha faqat ek girya-e-shabnam kifayat kar nahin sakta chaman wale kabhi ji-bhar ke ro lete to achchha tha suragh-e-karwan tak kho gaya ab sochte ye hain ki gard-e-karwan ke sath ho lete to achchha tha