rakh mujhe mauj mein tu zinat-e-sahil na bana

rakh mujhe mauj mein tu zinat-e-sahil na bana
zindagi ek safar hai ise manzil na bana

jitne mausam bhi guzare gham-e-hijran ke baghair
un mein ek pal bhi meri zist ka hasil na bana

mujh ko waiz na padha tark-e-tamanna ka sabaq
main to diwana bhala hun mujhe aaqil na bana

zindagi main ne guzari usi dar par lekin
sang-e-dahliz raha sohbat-e-mahfil na bana

apne mear pe hi khud ko parakhna sikho
mujhe dekho main kisi ka bhi muqabil na bana

go yaqin tha mera mohkam pa tan-asani mein
ye jo dil hai ye mera murshid-e-kaamil na bana

ye alag baat ki apni si ghazal to kah li
bante bante mein khayal-e-dil-e-'adil' na bana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close