mein aksar ehtimam-e-khatir-e-sayyaad karta hun ganwa kar apne baal-o-par qafas aabaad karta hun muhandis hun main harf-o-saut ke taza jahanon ka so apne sher mein lahje nae ijad karta hun to kya fatwa koi darkar hai mere junun ko bhi ki ja kar main faqih-e-shahr se fariyaad karta hun sajata hun kisi ki yaad se main gham-kada apna isi surat dil-e-nashad ko main shad karta hun taqaza hai khirad ka main bhula dun ab use lekin na jaane kyon main rah rah kar usi ko yaad karta hun nae raste banane ke nae aadab hain phir bhi main apne daur mein rah kar gham-e-farhad karta hun meri jaanib jo phenke hain mere ahbab ne patthar main un ko kaamyabi ki qawi buniyaad karta hun samajh mein kuchh nahin aata ye kaisa adl hai 'adil' ki khud par zulm karta aur khud fariyaad karta hun